Wednesday, 22 January 2014

जिन्दगी जिन्दा दिली नाम है

Jindgee jinda dilli ka naam hai
is ko hans kar gujara karo
maut mehbooba hai samjh lena
wo apne saath hi lekar jayegi

kanto ka taaj agar na pehna 
to kya pehna akar is jivan mein
foolon ka guldasta to har kisi
ke jivan mein dene se acha lagta hai

kyoon arjoo karte ho ki harpal ek sa ho
us pal ka kya jo intejaar mein hai tumhare
khushian to sab ko chahiyen, dukh kyon nahin
dukh bhi tro jivan mein saath hi rahega ya nahin

Ajeet Kumar Talwar
Meerut

No comments:

Post a Comment